E-mail Addressing
E-mail Addressing:- E-mail bhejne aur prapt karne ke liye user ke pas E-mail Address ka hona bahut jaruri hai! E-mail Address kisi E-mail sever par aisaa sthan hota hai, jahan E-mail store ki jati hai! Is sthan ko mailbox bhi kaha jata hai! Jab user kisi internet sewa pradata (Internet Service Provider) company se internet connection kharidta hai, to wah samanyataya user ke liye ek mailbox bhi bana deta hai aur us mailbox ka address user ko de deta hai jise E-mail address kaha jata hai! E-mail address samanyataya nimn parakar ka hota hai-
username@hostname
Yahan "username" mailbox ka name hai! Yah samanyataya user ke username ke saman hota hai, jiske dwara user apne computer ko internet se jodte hai! "hostname" mail sever ka name hota hai! User us web portal ke home page par jakar aur apne username wa password dwara sign in karke apne mailbox ko kabhi bhi khol sakta hai!
E-mail client ko outlook par configure karna
E-mail client ko outlook par configure karna:- E-mail account ko outlook par configure karne ke liye nimnalikhit charano ka anusaran kiya jata hai!
- Outlook 2007 ko open kare!
- Tools tab par click kare!
- Account settings option par click kare!
- New par click kare!
- Apne account ka wiwaran jaise _ name, e-mail address aur password aadi prawisht kare!
- Next button par click kare aur account ki pushti hone ka intejar kare!
- Account ke safaltapurwak banne ke bad, finish button par click kare!
E-mail ka anuprayog
E-mail ka anuprayog:-
(i) E-mail account kholna:- E-mail account kholne ke liye bahut si free website uplabdh hai! Jinme kuchh pramukh nimnlikhit hai:-
- www.hotmail.com
- www.gmail.com
- www.yahoo.com
- www.rediffmail.com
- www.msn.com
inme se kisi bhi website ke dwara user apna registration ek naye user ki tarah karwakar apna e-mail account bana sakta hai! User nimn charano se apna web aadharit e-mail account bana sakta hai!
1. Kisi web browser ke address bar par www.gmail.com ko type karke enter button ko dabayiye, jisse website ka Homepage screen par khul jayega!
2. Account banane ke liye "create an account" hyperlink par click kare!
3. Form pura bharkar next step button ko dabaye! Form bharte samay sabhi disha - nirdhesho ka palan kare, taki yah sunishchit ho jaye ki username unique hai! Yadi aisa nahi hai to user ko fir registration form bharna hoga!
4. Create your public Google + profile page khulega isme yadi aap profile banana chahte jao, to "create your profile" button par click kare anyatha "No thanks" button par click kare!
5. Yadi aapne create your profile button par click kiya hai to "Welcome" page pardarshit hoga, jisme Continue to Gmail button par click kare!
6. E-mail account banne ke bad uski Confirmation Information user ko de di jayegi!