(i) Static:- Web page is prakar ke web page har bar access karne par ek saman samagri dikhate hai!!
(ii) Dynamic:- Web page is prakar ke web page har bar access karne par dadalti hai!
Website:- ek website web pagaes ka sangrah hoti hai, jisme sabhi web page hyperlink dwara ek-dusre se jude hote hai! Kisi bhi website ka pahla page homepage kahalata hai! Udaharan ke liye http://iete.org ityadi!
Web Pages Ko Download Karna:- Web page suchnao ka ek aisa sarot (source) hai, jise WWW par prayog kiya jata hai aur ise web browser ke dwara access kiya ja sakta hai! Kisi web page ko apne computer me save arthat download karne ke liye nimnalikhit pado ka anusaran kiya jata hai:-
(i) File menu→Save As ko chune jiske falswarup Save Web Page dialogue box pradarshit hoga!
(ii) File name box me file ka name type kare!
(iii) Save as type box ke samne sthit drop down arrrow par click karke, select file type ko select kare!
(a) Yadi wartaman me save kiye ja rahe page sambandhit sabhi files ko save karna ho to Web Page, Complete wikalp ko select kare!
(b) Yadi page ka kewal HTML code hi save karna hai, to Web Page, HTML Only wikalp ko select kare!
(c) yadi web page ke kewal text ko save karna hai, to Text Only wikalp ko select kare! Isse web page ki suchna text format me save ho jayegi!
Web Page Ko Print Karna:- Kisi web page ko print karne ke liye numnalikhit charano ka anusaran kiya jata hai:-
(i) Web browser se us page ko access kare jise aap print karna chahte hai ya hard copy ke rup me rakhna chahte hai!
(ii) File menu par click karke, print option ko select kare! Ya Ctrl+P shortcut key ka prayog kare!
(iii) Pring dialogue box se printer, pages copies ki sankhya aadi properties ka chayan kare!
(iv) Print button par click karke bhi print kar sakte hai! arthat print button par click kare!
Social Networking:- Yah internet ke madhyam se bana hua social network (kuchh wishesh wyadkti ya anya asambandhit wyaktiyon ka samuh) hota hai! Iske madhyam se us social network ke antargat aane wala koi bhi wyakti kisi anya wyakti se sampark rakh sakta hai chahe we dono kahin bhi ho! Social networking social sites par ki ja sakti hai tatha communication text, pictures, video ityadi ke rup me bhi sthapit ho sakta hai!
Popular Social Networking:- kuchh pramukh social networking website nimnalikhit hai:-
(i) Facebook:- Yah duniya ki sabse badi social networking site hai, jo February, 2004 me launch ki gai! Wartaman me iske ek arab se adhik active users hai! Facebook ki sthapana Mark Zuckerberg aur unke friends ne ki thi! Isme user apna profile banakar friends ko jod sakta hai, sandesh ka aadan - pradan kar sakta hai, saman ruchi ke group bana sakta hai! Iska ek mahatwapurn future yah hai ki isme automatic notification aate rahte hai, jo is site ke upyog ko rochak banate hai!
(ii) Twitter:- Is social networking site par users kewal 140 shabdo me apne sandesh ko sampreshit kar skate hai, jise tweets kahte hai! Wartaman samay me, is social networking sites ke users ki sankhya pure wishwa me lagbhag 500 Million hai!
(iii) LinkedIn:- Yah peshewar wyawasay ke logo ke liye ek samajik networking website hai!
(iv) Googl+ :- Google plus ek social networking site hai, jo google dwara sanchalit ki jati hai!
(v) Tumblr:- David Karp ne warsh 2007 me tumblr ki sthapana ki thi! Yah blogging site social networking ki suwidha bhi deti hai!
My Space:- Yah ek wishisht prakar ki samajik networking sewa hai, jo pop sangitkar aur natakkar Justin Timberlake ke adhin hai!
Electronic Mail:- E-mail ka purn rup 'electronic mail' hai! E-mail ke madhyam se koi wyakti wishesh ya users ka samuh duniyabhar me kisi se bhi sandesho ka aadan-pradan kar sakta hai! E-mail, sandesho ke aadan-pradan hetu ek sasta, tej aur wishwasaniya tool hai!
E-mail sandesh ke do ghatak hote hai! E-mail address aur message! Kisi bhi e-mail pradata ki website jaise- gmail, hotmail, yahoo mail par sign-up karke naye e-mail address ko user dwara banaya ja sakta hai! Jiska prayog karke e-mail ko create, send, receive, forward, store, print aur delete kiya ja sakta hai! E-mail ka prayog karke sadharan text, document, graphics, audio, video aur picture aadi bheje ja sakte hai!
E-Mail Ke Labh (Advantage of E-mail):- E-mail sewa ke kai labh hai, jo nimnalikhit hai:-
• E-mail ke madhyam se sandesho ke sath-sath unki date aur time ko bhi surakshit karke rakh sakte hai!
• E-mail address internet par wyakti ki pahchan wa website par panjikaran (Registration) karne me atyant labhprad hai!
• E-mail dwara sandesho ko wyawaharik patrachar ki tulna me kafi tej gati se sampreshit kiya jata hai!
• E-mail dwara patro/sandesho ke khone ki aashanka nagany hoti hai!
• E-mail ko kewal wahi user padh, download wa reply de sakta hai jise wah bheja gya hai!
• Pramparik dak sewa ke badle e-mail ka prayog karne se kagaz ki bhi bachat hoti hai wa e-mail ko kagazi dastawejo ki tulna me sambhalna behad aasan hota hai!
• E-mail ka prayog wartaman me wigyapano, bussiness promotion ityadi me bhi kiya jata hai!
E-Mail Ki Haniya (Disadvantage of E-mail):- E-mail ke labh hone ke sath-sath unke haniya bhi hai joki nimnalikhit hai:-
• E-mail ke password leak hone par agyat wyakti uska prayog kar sakta hai!
• Prapt kiye gaye e-mail me virus ho sakte hai, jo hanikarak chhote programs hote hai! Virus program e-mail se sambandhit sabhi jankariya ko churakar, anuchit e-mail ko anya e-mail address par bhej sakta hai!
• Kai users anya e-mail users ko awanchhit e-mail bhejte hai jinhe spam kaha jata hai!
• Users ko Mailbox ko samay-samay par manage karna padta hai anyatha Mailbox full ho jayega wa aagami e-mail ko prapt nahi kiya ja sakega!
• E-mail ka prayog sarkari vyapar me nahi kiya ja sakta, kyonki yadi e-mail credential kisi awedh user ko pata chal jayega to wah unka galat prayog kar sakta hai!
Mere dwara diye gaye articles me kuchh galti huyi ho aur aapko galti lagta hai, to kripya karke comment box me bataye! internet se judi aur bhi adhik jankari ke liye kripya internet part 4 articles me jaye!